hum sab bus chalte jaa rahe hain
kahan aur kidhar
deepak chopra ke sivay kisi ko nahi pata
sab void lagta hai
kuch karne ka mann nahi karta
parr karien bhi toh kya
koi saala kehta hain purpose dhundho
koi kehta hai hai andhar jhaank
koi kehta hai pyaar kar
hum bhi cigarette peete peete sirr hilate rehte hain
chalte chalte unki baatien meri baatien banti jaati hai
who bada aadmi hai
sahi hi keh raha hoga
humein kya pata
hum to sadak chap recorder type chutiye hain
samay guzarta rahega
ek din aayega
sab saale ek jaise bann chuke honge
har koi wahi kahega
har koi wahi karega
sab corrupt antaryami honge
shayad uss din yeh chaos resolve ho jaye
tab toh bass iss cigarette ka sahara hai
~Srijan
mtl '13