woh din bhi thee
yeh din bhi hai
kishore ne kaha hai na
zindagi ke safar mei guzar jaate hai joh makam,
phir nahi aate
aana jaana toh laga rehta hai
zyada phikr mat kariyega
bass ek aas reh hati hai
yeh aas bhi meri nahi
raat din kahin na kahin bhaaga karti hai
mujhe saath liye jaati hai
unn galiyon mei phir chala jaata hoon
jaate jaate mera mann ek second rukta hai
puchta hai
who chai ki dukaan abhi bhi wahan?
who kabhi cheeni paani ke saath nahi daalte thee..
kya pata.. ab toh bhaiya ki dukaan mei pouch wali chai milti hai
chalte chalte uss mod tak chala jaata hoon
zara ek saans chut jaati hai
aaj bhi dhadhkan ruk jaati hai sooch kar
kahin tum toh nahi nikal aaogi wahan se?
yeh pagal khayal bhi.. kuch nahi samjhte..
baas ek aas aur chodh jaate hai..
ha ha ha ha ha
bhujhi cigarette jala kar
ek kash aur leta hoon
dhuei ke saath apne khayal bhi pee jaata hoon
woh din bhi thee
yeh din bhi hai....
No comments:
Post a Comment